Sultan Salahuddin Ayyubi
سلطان صلاح الدین ایوبی
Watch vedio on YouTube click here
Salebi jango k be taj badsha fatih beit ul muqadas jis ki bahadri or jangi hikmat e amli ki tareef dushman b kry wo azeem shakhsiat sultan e misr sultan Salahuddin Ayyubi R.a.
Sultan Salahuddin Ayyubi noor udeen zangi ki fouj ma aik aam sipahi ki haisiat se larty thy.Rafta rafta apni salayito k damm per misr k governor bany or bad ma Norrudin zangi ki wafat k bad appko mutafiqa toor per sultan banaya gya.
Jab sultan Salahuddin Ayyubi governor k toor per misr aye to eesaio ne apky k aik sodani comander "nazi"ki madad se apko sony chandi ki lalach de ker kharidny ki koshish ki lekin apny saaf inkaar ker diya or salebi quwatto se jang kerny ka faisla kia. Salebio ka ye harba kam na karr gya to apko larki or shrab k zarye se apne jaal ma phansne ki koshish ki gyi.lekin yi war b khali gya or dhushmann k hath kuch na aya.
To aakhir kar Sultan Salahuddin Ayyubi ko marne k liye "hashesheen"jo k aik fidayi or karaye k qatilo ki tanzeem thi se marwany ki nakaam koshish ki gyi.chunancha hasheesheen ne sultan Salahuddin ayoubi ko marne k liye mukhtalif moko per 5 hamly kiye lekin sab nakaam ho gye or har baar Allah ne apko bacha liya.
Aik dafa apky jasoos ne apko btaya k flaan masjid ma aik aalim ha jo kehta ha bacho ko taleem dena jihad ha. Rizq e halaal kamana jihad ha.afzal jihad nafs ka jihad ha hmy us per kuch shaq ha.to sultan ne kaha kia tumha in batoon ma koyi shaq ha jasoos ne kaha ni lekin wo yi b kehta ha k jango se kuch hasil ni hota jangy ya to apko qatil ya maqtool bna deti ha.sultan mutajasis huwe or bees badal ker alim se mulaqat kerny chaly gye.apny milty he pehla swal yi kia k batawo phalistine k mazloom musalmaanano or beatul muqasads ko essayo se azaad kerwany ka jang k ilawa ko or mansooba ha apky pas.to aalim ne jwab dia dua kry bas.apny khanjar nikaal ker pehly us ki aik ungli kaati or phir frmaya asliyat bataty ho ya gardann b kaat dun.wo burry tara trapny lga or btaya ma yahoodi hun aalim k bees ma aya hun.sultan ne usy griftar kerny ka hukam de diya. Or yi baat mukhtalif membaro se byan hony lagi to sultan ne bari hikmat amli or mushkil se is fitny per qabo paya.phir ik or fitna chala k islam talwar se ni tableegh se phela ha.jab sultan ko pata chala to apny fermaya mujha ni pta islam talwar se phelaa ya tableegh se lekin itna zroor janta hun islam ki hifazT k liye talwar zrori hai.
Noor udin zan R.A ki shadeed kwahish thi k wo betul muqadas ko fatah kerne ki or is k liye apny ik member b tameer kerwaya tha jisko fath bait ul muqadas k bad qiblaye awal ma nasab kerna tha lekin Rab ko kuch or he manzoor tha or ap yi khwaish apny dil ma liye is faani dunya se kooch ker gye.apky bad sultan Salahuddin ayoubi ki yi shadeed khwaish thi k bait ul muqadas kisi b tareeky se fatah kerna ha.or tamam umer apny isi k liye saleebo taqato se naberd aazma rahy or aakhir kar qibla awal ko aisayo k qabzy se azaad kerwany ma kamyab ho gye.
Fatah baitul muqadas k bad aisayo ko apni jaan ki pari huwi thi q k jab aisayi badshaho ne baitul muqadas ko fatah kia tha to musalmaanano ka qatl e aam kiya tha lekin sultan Salahuddin Ayyubi ne fidya le ker sab aisayo ko shehr chorny ki ijazat de di.or jo ghareeb aisaye thy unki fidya ki raqam sultan ne khud adda ki or apky bai adil ne adda ki.
Aik dafa hajio k qafly per issaio ne hamla kia or musalmaanan hajio ka qatle aam kia tha or issai commander ne musalmaanano se kaha kaha ha tumhara peghamber Muhammad bulawo unko k tumhari jaan bacha le.....
Is assai comander ko jab apky samny laya gya to apny uska sir qalam ker dia or kaha. Salahuddin Ayyubi a gya ha tumne kia kaha tha hajio se kaha ha tumhara pejhamber Muhammad aye tumhare madad ko lo ma Muhammad SallAllah-o-Alaihi ka adna sa ghulam a gya hun... or baqi jerneloo ko sharbat pilaya or maaf ker k zinda chor dia...
Sultan Salahuddin ayoubi ki hajj kerne ki shadeed khwaish thi lekin pese na hony ki waja se ap kabi hajj per na ja saky.
Jab apki wafat hovi to apky pas appky kafan tak pese ni thy chanda ker k musalmaanano ne apky liye kafan khareeda tha.
Apne 57 saal ki umar ma wafat pai.
Apki kul jaidad wafat k waqt 47 derham or 1 deenar thi.
#sultansalahuddinayubi
#salebi jangy
#urduislam
#islami kahania
#islamic stories in urdu
#jihad
#jihad kab or k se hota ha
0 Comments